Ek aks tha
uss shaksh ka
zindagi ke raks mein
sota hua
khota hua!
ek dard tha
kuch sard sa
khaali sa
zard sa
sukoon ka ek arz tha
kuch karz sa
thoda farz tha
pata nahi
kaun sa marz tha
naa chaiin tha
naa karaar tha
dil-e-bekas
bekaraar tha
naa raah thi naa rawaangi
kuch khoyi si deewangi
naasamjhi ka silsila
ruka ruka sa kaafila
umeedon ki kahani
gujarti taarekhon ki bayani
dhundhla sa wo sama.n
past hota wo jawa.n
gum hota gumnaami mein
itihaas banta kahani mein
Ek aks tha
uss shaksh ka!
Wo aks bhi kahi gum hai
khud ki talaash bhi thodi kam hai!
Saturday, 29 December 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment