Saturday, 29 December 2007

Ek ghar tha!

kuch sehma sa
simta sa..
parchai mein
lipta sa..
risti chhat,toota darwaza
kuch ghar jaisa dikhta tha,
ujada sa,berang sa..

deewaro.n pe
bache chand dhabbe,
khidkiyo pe jami
mutthi bhar dhool
aur goonj kuch unsune afsaano ki..

wo kone mein saja
makdi ka jaal,
nakkashi kuch aisi uski
jaise sapne lipte pade hain
sachai se rubaru hoke..

kuch cheekte sannato ka geet
ras gholte wo bebaak lafz,
kuch badalti yaado ke pyaale,
aur wo thandi hoti chai ka
laawarish ki tarah
table pe pade rehna..

aaj phir thodi baarish hui,
bheegta bistar,geeli lakdiya.n
bujhti lau,
farak bas itna ki,
aashiyaane ka chirag ab bhi
roshan hota hai...unn boondo.n
ki garmahat se,
jo ab aankho.n se barasti hain..

No comments: