Saturday 29 December 2007

Uff Jawani!

Gulaab si khoobsurati,behte dariya si jawani
Aankho mein noor aur chaal mein rawani,

Chaand sa mukhra tha aur zulfein ghata si
Aasmaa ki pari thi,jo jami pe utari thi,

Aayi jab wo mohalle mein,palko.n ne jhapakna chhod diya
Unke itr ki khusboo ne,hawa ka rukh mod diya,

Har lafz mein hasi thi,har aah pe khili thi,
Jaane kitne aashiqo ke dil kuchal ke, apne ghar ko chali thi,

Jaane kya baat thi,unke baaho.n ki angarai mein,
Dil ko zakhmi hone ka suroor tha,unki yaado.n ki tanhai mein,

Unki adao.n ke charche poore zamaane mein the,
Meri khwahishein ke ankahe kisse maikhaane mein the,

Kehne wala tha unse apne dil ki baat
Jab aayi wo suhaani raat,

Haatho mein gulaab liye,dil mein kuch baat liye
Pahucha unke ghar,mansoobo ki baaraat liye,

Dekha jo unke shauhar ko,hosh mere udd gaye
Nasha saara utar gaya,armaan sab bikhar gaye,

Hasinao.n ki ye maasoomiyat hai,
aur hum aashiqo ki ye fitrat,
katl karna unka shauq hai
aaur katl ho jaana hamari aadat!

1 comment:

Munazza said...

hahahahahh! hahahahah! This was the poem I was talking about that day!