Saturday 29 December 2007

Wo Lamhen!

kuch lamhe gire
waqt ki saakho se,
thirakte,
thithakte,
kahaniyan kuch boonte...

pehla lamha,

nakkashi bhara,
aadhe chaand ka manjar liye,
uljhi lakeerein
dhundli tehreerein,

Jaane kisne wo nakkashi silwato.n mein quaid kar li!

doosra lamha,

bhari mutthi,
phisalti reth aarzuon ki,
waqt ke almeere
se sarakti parchai,

jaane kisne uss parchai ko libaas se chura liya?

teesra lamha,

ek beparwah pankchi,
ka ghosla,
tinke saare puraane,
kuch kaale,kuch peele
ruswaiyon ki saugaat liye

jaane kisne uss saugaat ko saanso.n mein dafan kar liya!

chautha lamha,

ek safed aks,
tooti kaanch ke kuch tukde,
har tukde ka ek ateet
bejaan,bebaak..

jaane kisne unn tukdo ko apne armaan se piroya tha!

shayad,
ek aakhiri lamha,

aur ek bikhri peshkash,
kuch adhoori kahaniyo ki
kuch ki suruaat nayi,
kuch ka anth kareeb,

jaane kisne!.....
shayad aaftaab ke paimaane mein andhere ka wajood hota hai!

No comments: