Kal, ek arse ke baad
zindagi ko khwaab mein dekha,
masoom sa chehra aur
unpe pe padi thodi se shikan
aur achanak sa yu aaya jehan mein
jaise meri iss khamosh raat ki tanhai ko
uske be-intaha sawaalon se ru-baru hona hoga
mere musafir,
meri inn aakhon mein ye kaisi nami hai
lagta hai aaj phir teri kami hai,
tere sharaarti lamho ke sang
mera bikhara wajood khusgawar tha
par aaj fiza mein judai
ki sargoshi hai
aur lihaaf ki silwato ke darmiya
kuch zakhmi yaadi ki ranjish
par meri har nabz ko ab bhi teri aashiqi
ki darkaar hai..
ladkhadaata lafzo se
aur khud ke kaapnte haathon se
maine zindagi ko karib bithaya
uske behte askon ko pochte hue
maine kaha,
kuch toh majbooriyan rahi hongi
yun koi bewafa nahi hota
maine nahi chaha tha tumhara dil todna
par shayad waqt hamesha munasib nahi hota
chaho toh khoj ke dekho,
iss bewafai mein bhi ek khoobsurati hai
kuch yaadein unhi ke darmiyaan sanwarti hai
shayad pareshan sa ho gaya hoon
tumhe khusiyan dete dete
aur khusiyo ko zindagi dete dete
ab chand lamhe gamo ke saath
bitana chahta hoon
unhe bhi toh ek aashiq ki khwahish hai
logo ko gamo.n ki kya maalumiyat hai
bas usse choote hain aur chal dete hain
thoda sa rokar,
bas aansuon ki keemat kam kar dete hain
isliye Gamo.n ko gale laga baithe hain
aur apne seene mein chupa baithe hain..
Saturday, 29 December 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment