Saturday, 29 December 2007

Khwaboon ki Dastak!

Koi aur nahi aayega dene ko khwaab
inn aankho ko har jyot khud jalani hogi

Manzil hai door apni nazro se par
Uss tak har rah khud banani hogi

Jo chal pade unn raaho pe
toh pehchaan ki har daastan khud sunani hogi

Haan mukaddar bhi saath nahi dega apna
Par mehnat se rishton ki har doori khud mitani hogi

Koi aur nahi aayega dene ko khwaab
inn aankho ko har jyot khud jalani hogi

Haan pehchaan nahi raasto ki mujhko par
jo chal diya toh naya aayaam khud taraashne honge

Saath nahi tha koi ab tak mere par jo
saath chal diye unko hamsafar banana hoga

gar andhero ne ghera raah ko meri jo
Har raah ko apne lahu ke diye se jalana hoga

Koi aur nahi aayega dene ko khwaab
inn aankho ko har jyot khud jalani hogi

No comments: