Saturday, 29 December 2007

Choti si Tamanna

Naa iss zami.n mein naa aasmaa mein
naa hi kisi pari ki daastaan mein
naa masjid,naa mandir,naa dargah mein
naa hi kisi shayar ke manchale khwab mein
ye dil toh khoya hai apni hi kisi chah mein

apne mansuboo.n ke sabab
dil mein liye firte hain
apne hasrato.n ke afsaane ko
taabeez bana ke chalte hain
khushiyan toh bikhri si padi hain
bas unhe sahejne ka manjar
aankhon mein sawaar ke rakhte hain.

sawaalo ko jawab mil jaate hain,
har rahguzar ko makaam mil jaate hain,
jaati har saans ko aas mil jaati hai,
rooh ke har paigaam ko aawaaz mil jaati hai,
nahi mil paata toh main sirf khud se,
warna kuch khwaabon ko hakikat ke
anjaam bhi mil jaate hain...

No comments: