Saturday, 29 December 2007

Akhri Lafz

tanhai ke palko pe saze do moti fir se baras pade aanshu ban ke mere sirhaane tale..ye yaado ki ranjish thi ya armaano ki chita? ab toh lihaaf bhi thak gaye hain unn aashuo ka pata pooch ke..fir bhi uska poochna jaari hai..kya tere mukaddar pe hi manhoosiyat ka saaya hai ya tune apne haatho hi apni mayaat sazaane ka irada banaya hua hai! tere lafzon ki rawaangi dum todti dikhti hai.tere sunahre sapne dhoondle dikhne lage hain aur tera chalni wajood aakhiri saansein leta dikh raha hai..kyu nahi kar leta apne dil ki baat kisi rehamdil rooh se..ab ye toh naa hi bolna ki tera bharosa hi insaaniyat se uth gaya hai..

chaand aaj fir se poore ufaan pe tha..apni dudhiya roshni se jaise saari kaaynaat ko roshan kar dega..siwaay mere aashiyanein ke! aaj zindagi ke iss mod pe,jaha mujhe dhalte sooraj mein apna aks dikhta hai aur jaha meri kuch chuninda saansein abhi bhi meri wafadaar hain..main saari umar ka hisaab karne baitha hoon..what a waste of life! haan,mere abba ne angrez hukmgaarano ke kuch lafz mujhe bhi tohfe mein diye the..beete hue waqt pe sarsari nazar dauraata hoon toh,nakaamyaabi hi mera eklauta hamnafaz dikhta hai..

socha tha..zindagi mein bada aadmi banunga..apna maalik khud banunga..doosro ke hukm pe mujhe nahi chalna..apna business karna hai..par kismet ko kuch aur hi manjoor tha..meri marhoon biwi jo khoobsurati ki mallika thi aur uska paak-saaf dil abhi bhi itihaas ke panno pe darz hai..mukaddar ne uske liye jannat mein koi aur hi banda chun ke rakha tha..par jaate waqt bhi wo apni ek nishaani chode gayi thi..ek farista jise maa ki gode toh nahi naseeb hui par maine apni taa-umr laga di uski khidmat mein..wo mere aur marhoom benzir ki eklauti nishaani thi na..apni jawaani apne bache aur benzir ki yaado pe nisaar ki..tinka-tinka jama karke apne anwar ki parwarish ki..aur jab wo bada aur samajhdaar ho gaya toh wo angrez gaon chala gaya..aur wahi apni gori meme ke saath bas gaya..poocha bhi nahi..abba..tumhara kya hoga..aur zindagi yun hi beet gayi kuch sawaalo ke saath aur kuch uljhe jawabon ke darmayan..
par sawaalo ka silsila aapka peecha nahi chodta..wo aapka taa-umr imtihaan leti hain..tab tak,jab aap aur sawaal ek hi mitti mein dafan naa ho jaayein..
ab toh aalam ye hai ki sawaal bhi kaanto ki maanind chubhne lage hain..koi insaan sawaal kar raha ho toh aadmi kahi bhaag khada ho..koi bheed ho toh apne aap ko uss ek kamre ke darwaaze ke pare chupa ke ro le..par agar aapka aaina aapse sawaal kare,har ghari,har pahar,har lamha, toh insaan kaha jaaye..kabhi kabhi bejaan cheezein bhi bahut tadpaati hain ..par uss sheeshe ki bhi kya khata hai? wo toh mujhe bachpan se hi dekhta ,sanjota,taarefein karta aa raha hai..aaj wo kuch imaandaari bhare sawaal hi pooch raha hai toh koi gunaah toh nahi kar raha..sakht hi sahi..wo mera saath toh de raha..apne aakhri waqt pe ye sab baatein aapko kachotti hai par phir bhi..apni zimme-daareiyaan nibhaane ke baad bhi kuch adhurapan sa hai.jaise kaafile ke beech mein bhi reh kar maine safar tanha hi tay ki.. zindagi akeli rahi..safar ye tanha aur gumnaami ke dhaage se piroya hua..benzir..tere shauhar ko chaar log bhi nahi milenge uski arthi ko kaandha dene waale..par main wafadaar raha..benzir,umeed karta hoon..tumhaari rooh ko mujhse koi shikwa nahi hogi..

No comments: