Saturday, 29 December 2007

Trishna

Maanav mann ki trishna bhi
Talaasti hai khud ko asimit gehrayio mein
Un adrishya khwaboo mein,un gaganchumbi unchayio mein
Un seemao mein jo khud ki seema todti hain
Un manzilo mein jo khud ki manzil dhoondti hain
Trishna jo vivash karti hain vaastvikta ka daaman chodne ko
Aur agrsar karti hain hamein kalpana ka aanchal thaamne ko
Satya reh jaata hai akela apni stayata ka jhanda thaame
Aur kalpana….
Badh chalti hai vijaypath ki oor mrigtrishna ko thaame
Trishna aur kalpana ka sangam hai bada majboot
Wahi tathya ki jeewat ta hai badi adbhut
Prashan ye nahi ki kiski hoti hai vijay
Mahatwa iska hai ki parinaam kis se karati hai hamara parichaya
Antatah jeet hi taya karti hai saaraansh iss takraaw ka
Aur duniya dekhti hai tamasha kisi ki jeet ka kisi ki haar ka..

No comments: