kya ye wo hai, duniya jiski mohtaaz hai !
Aur jisne isse paa liya wahi sartaaz hai !
Kya hai vijay, jo dikhaati hai humein aasmaan !
Aur saath mein de deti hai, thoda sa abhimaan !
Kya hai vijay, jo khichti hai humein shaktipaash mein !
Aur hum khichte chale jaate hain, armaano ki aas mein !
Kya hai vijay, jo dikhaati hai humein bade bade sapne !
Aur mehsoos hi nahi hota, door hote jaa rahein hai hamaare apne !
Kya hai vijay, jisme hai bahut aakarshan !
Aur samvednaon se, naata todta hai hamaare tan ka kan kan !
Kya hai vijay, jo uthata hai hamare armaano ki doli !
Aur lagti hai hamaare pratyek bhaavnaon ki boli !
Kya hai vijay, jo aashirwaad hai ya abhisaap hai!
Kuch ki nazro mein ye punya hai, aur kuch ki nazro mein paap hai !
Kya hai vijay, jo aabhaas deta hai purna satya ka !
Ya phir satya ke bhes mein roop hai koi mithya ka !
Aur kya hai vijay, jo tay karti hai jeevan ka abhiyaan
Par artha tabhi nikalta hai, jab jeevan pe lagta hai poorna viram!!
Saturday, 29 December 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment